Monday, 28 November 2011

AISE GULSHAN MAIN APNA BASERA NAHIN


Bhiadiya apni waadi main koi na tha
phir woh seem-aab jaise kayi maimnay
kyun uchhalte machalte thhirakte hue
khailte koodte lapata ho gaye
apna maasoon rewad jahan kho diya
ik gadarye ne fouran usi moud par
apne haathon ki sab ungliyan tod kar
apni pyaari madhur baansuri tod di
tab se hairat ke kohre main lipti hui
ik pahadi pe aawaaz dete hue
dhalte sooraj ki laali ko takta raha
woh gadarya lapakta humakta raha
goonjti apni beysood aawaaz pe
sochta reh gaya
iss chaman main riyakaar koi na tha
aan ki aan main phir yeh kya ho gaya
kyun bahaaroon ke sapne dikhate hue
baagbaan loot taa reh gaya gulsitaan
baag-e-tehzeeb main woh zehar bo diya
patta patta tasaadum main mashgool hai
har shagoofa gulistaan ka mashkook
shaakh dar shaakh hain nafratain saazishain
ab andhere main jignoo chamakte nahin
iss liye ab haseen dil-ruba Titliyan
konploon se bhi dehshat-zada ho gayin
ab woh nagme nahin woh tarranum nahin
bulbulain bhi guloon se alag ho gayin
ab nigehbaan kaantoon ka kya tazkira
phool par khushboun ko bharosa nahin
ab parinday chaman main chehakte nahin
Aise Gulshan main apna basera nahin.

Wednesday, 23 November 2011

DHUAN DHUAN SI BASTIYAN


Dhuan Dhuan si bastiyan
jali bujhi si waadiyan
shajar shajar udasiyan
samar samar tabahiyan
chali hain kaisi aandhiyan
Dhuan Dhuan si bastiyan

Giri hain kaisi bijliyan
hain murg baam sokhtah
sulag rahe hain deeda'war
Nigah-e-yaar sokhtah
Ujad rahe hain aashiyan
Dhuan Dhuan si bastiyan

Hain Marg'zaar ghamzadah
Chaman Chinar Nawhakhan
Woh Gul woh shah-e-Gul kahan
Guloon ke N'agmah-khwan kahan
Lahoo lahoo hain Titliyan
Dhuan Dhuan si bastiyan

Lahoo ugal rahi hain
Za'afraan-zaar waadiyan
Kafa-jafa se be-chirag
ho rahi hain bastiyan
Luti luti jawaniyan
Dhuan Dhuan si bastiyan

Jawa'n lahoo baha chuke hain
Bad-hawaas bhaidiye
Haseen Adh-khile se phool
bhi masal ke rakh diye
Laraz rahi hain Hichkiyan
Dhuan Dhuan si bastiyan

Dhuli hui woh chaandni main
Jheel-e-Dal bhi khwaab thha
kali kali ke haath main
haseen ka'nwal bhi khwaab thha
ujad chuki hain khishtiyan
Dhuan Dhuan si bastiyan

Yeh kaisi bad-naseebiyan
woh chhaaon devdaar kee
rahi nahin ki log khud hi
loot te hain ghar yahan
yeh kis kee meharbaniyan
Dhuan Dhuan si bastiyan

Sufaid barf-posh
Koh-saar Aab-shaar pe
Faza faza, Chaman chaman pe
Maut ka sakoot hai
Khamosh Hain Khamoshiyan
Dhuan Dhuan si bastiyan

Bahisht-e-benazeer
badnaseeb hai toh is liye
ki is ke be-misaal husn par hai
Hirs ki nazar
Yeh kaisi bad-naseebiyan
Dhuan Dhuan si bastiyan.......

AUR YEH SAAL BHI AISE HI GUZAR JAAYEGA


Khwaab o umeed ke darwaaze muqaffal kar do
koun sunsaan ghataaon se palat aayega
aaj bhi laut ke aaya na koi chashm-o-chiraag
aur yeh saal bhi aise hi guzar jaayega

Ab na aayega pahaadoon se utar kar koi
apne beemaar dareechon se talasha na karo
ab khilaaon pe na gaada karo nazrain apni
chashm-e-pur-aab kisi ko bhi dikhaaya na karo

kab talak shaam ki chaukhat pe jalaaogi chiraag
laut kar subhu ka bhoola na kabhi aayega
Koi mudfun na janaza, koi aasaar nahin
Aise andaz se na'bood hue lakht e jigar
saal ha saal isi karb o bala main guzre
Aur yeh saal bhi aise hi guzar jaayega

Apne ma'asoom ka kis kis se pata poochogi?
qatl gahoon se, aziyat ki kameen gahoon se
zulm ki chhaaoun se, khoon-khaar dahan gaaroun se
daaman-e-koh se, parbat ke girabaanoun se
jheel ki baahn main be-gor-o-qafan laashoon se,
Kargis-e-waqt ke panjoon main jawaan chehroon se,
roz kat-te huye mazloom jigar-paroon se,
raakh barbaad nasheman main dabi saansoon se
dasht main zehar ugalte hue sheh-maaroon se
arz-e-firdous main dehshat ke talab gaaroon se
bhais insaa'n ke badle hue haiwaanoon se

Apne masoom ke kis kis se pata poochhgi
Rehnumaaon se?
Rehnumaaon se na poocho unhe ehsaas nahin
dard kya cheez hai zakhmoon ki khalish kya shai hai
khoon-e-shuhda'a se un sab ko bhala kya matlab
bhaich khate hain shaheedoon ke woh aazaa-e-badan
qissa-e-dard kisi ko bhi sunaya na karo
Log bas lutf uthate hain maza lete hain
Daag-e-furkut ko kisi par bhi numayaan na karo
Iss tarah gouhar-e-nayaab ko ruswa na karo

Aaj bhi laut ke aaya na koi chashm-o-chiraag
Aur yeh saal bhi aise hi guzar jaayega.....